aaj bachpan ko dafn kar aae
mohni jhurriyan subuk aankhen
mehrban shafqaton se pur chehra
thapkiyan dete hath narm aaghosh
chahaten dekh-bhaal pyar dular
sare kumbe ki fikr sab ka KHayal
rabte rishte-dariyan nate
KHatiren waza-dariyan mehman
martabe haisiyat hisab-nisab
nazm-o-tartib ghar ke iKHrajat
maut mayyat byah paidaish
taziyat tahniyat ke chaal-chalan
chhuTTi aashura id aur baraat
har baDe chhoTe din ka pas-o-lihaz
roze naflen wazife tasbihen
sadqa minnat murad pir-faqir
KHair-KHairaat baKHshishen nazren
lag-lag len-den mel-milap
puchh-gachh rakh-rakhaw rit-riwaj
raunaqen KHush-kalamiyan aadab
raat qisse kahaniyan chuhlen
mez almari pandan palang
zaiqe rang KHushbuen chehre
in mohallon ka KHushnuma mahaul
in gharon ki riwayati tahzib
aaj ek daur jaise Dub gaya
aaj tifli ka sath chhuT gaya
aaj bachpan ko dafn kar aae

Dedicated to my Grand Mother Shakeela Khatoon
aaj bachpan ko dafn kar aae mohni jhurriyan subuk aankhen mehrban shafqaton se pur chehra thapkiyan dete hath narm aaghosh chahaten dekh-bhaal pyar dular sare kumbe ki fikr sab ka KHayal rabte rishte-dariyan nate KHatiren waza-dariyan mehman martabe haisiyat hisab-nisab nazm-o-tartib ghar ke iKHrajat maut mayyat byah paidaish taziyat tahniyat ke chaal-chalan chhuTTi aashura id aur baraat har baDe chhoTe din ka pas-o-lihaz roze naflen wazife tasbihen sadqa minnat murad pir-faqir KHair-KHairaat baKHshishen nazren lag-lag len-den mel-milap puchh-gachh rakh-rakhaw rit-riwaj raunaqen KHush-kalamiyan aadab raat qisse kahaniyan chuhlen mez almari pandan palang zaiqe rang KHushbuen chehre in mohallon ka KHushnuma mahaul in gharon ki riwayati tahzib aaj ek daur jaise Dub gaya aaj tifli ka sath chhuT gaya aaj bachpan ko dafn kar aae Dedicated to my Grand Mother Shakeela Khatoon
0 Comentários 0 Compartilhamentos 84 Visualizações